Keep the theme, sing a song !

Cooool! I like this song...and am looking for these eyes...wink!

In aankhon ki masti kay
Mustanay hazaroN hain
In ankon say Wabasta
Afsanay hazaroN hain

Film is Pakeeza! and the hero is a kochwaN! Jaani! Raj Kumar d'oh!

Hey Umar I felt like putting in Jumma Chumma day day... but I'll wait till you guys move a little here and there from the eyes hehe....

Ciao
BoSS

Hello Umar ji,
Adaab. Hope you are at home and relaxing - keya karain ye mazdoori tow khud bhi kartay hain, leking jab iss chaye ki dukaan pay ajatay hain, with the ganay blasting - sub dukh dard pay malhum lag jatee hai!
Anyway, here's one more and agar per BOSS ji, change of pace hui, tow let me know.

Ankhio(n) hee ankhio(n) may
Teri meri baat chali
Baat ya haan tak po(n)hchi
Mai nay teray bin jeena nahee
So och liya

(Song from the 70s?? - aur kuch yaad nahee!!)

[This message has been edited by Rubiya Nur (edited 10-11-98).]

Okay jee, I'm back, but it depends whether you people are on for playing or not.
Rubiya jee, apnaa tow stock khatamm hotaa jaa raha hai. Chalo kuch chantee karnee pade gee.
Abhi toe yehi yaad hai :

Nain merey, jhukey jhukey,
hont merey, rukey rukey
rakh de dil peh haath, sunn le dil ki baat
...
(bhool gaya rey!)
(socho miaan, abb tow tension ho gayee hai)

Chehra hai ya chand khila hai
zulf ghanairee shaam hai kya
sagar jaisee aankhon walee
yeh to bata tera naam hai kya: :)

umar jee stock buhat hai zara khojnay kee zaroorat hai

rubiya jee aap ko to kya kehnay hain jee: :)

har sawal ka jawab hain aap!

Umar ji and MahaRaja ji,

Adaab, aray kahaan chaldiye, tonga roakiye huzoors, hum bhi parday hain rahoan may with this beautiful number jo achanak yaad agaya!!!

Kathai aankhon wali ik lardki
Aik hee baat par bigard ti hai
Tum mujhay kiyoon nahee milay pehlay
Roaz kehkar mujhsay lard ti hai

Ghussay ki wo taiz hai lekin
Dilki behad acchi hai
Wo kaliyon say bhee nazuk hai
Aur shahad say bhee meethi hai

Chehray par hai naram ujalay
Baloan may kaali ratain
Hus day wo to moti barsain
Phooloan jaisi hai batain

(Kumar Sanu ji for DUPLICATE - lyrics by my favourite Javed Akhtar saheb)

aankhon mein hai kya
tasweer teri
tasweer meri
ya mein hoon tera

meri jaan hai mushkil mein
o meray janam
o meray janam

Rubiy jee tanga tez ho gya hai: :)

MahaRaja

Assalamu alaikum!
Hain? yeh kiya ho raha hay bhaee? tanga teen ghorron per to nahin chalta...chaar hon to behter hay...to lijiyay, ham bhi tapak perrtay hain! :)

Pehlay piyaar ka pehla gham
pehli baar hain "Aankhain" nam
pehla hay tanhaee ka
yeh mausem...

Uninvited guest yaani bin-bulaaye mehmaan

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

Abb aa hee gayee ho tow theek hai. Dandaa tow nahi(n) hai naa ! :slight_smile:

Oh nayee, mazaq karr reyaa see. Everyone is welcome, aur mei(n) ney kissi ko manna kiya tow shirarty mera bhejaa nahi(n) khaa jaye gaa.

Well I cannot imagine keh I forgot to post this song. SHOOT ! it’s one of my favourites :

Jadoo bhari aankho(n) wali sunno,
jadoo bhari aankho(n) wali sunno,
Tumm aisey mujhey dekhaa naa karo
Tumm aisey mujhey dekhaa naa karo.

(I can’t figure out why I missed this one (ganney ki shaan mei(n) bohut badi gustaakhi hui hai yeh) ; Udit Narayan, in Dastak

the moment i read Hayaa’s message this song raced fromm the backstreets o my mind (cuz both r from kinda same time) …but lo jee Umar saab pahlay hee puhanch gayain hain…waisay what a song and what a kuree for which the song was written

welll anyways this one goes
this is rather old from the film junglee and very funny
i remember it when sometimes my dad used to put it on for i dont know what reason really

http://www.pak.org/gupshup/redface.gif

Nain tumharey mazeydar
o jannaab e aalee
hum ko tum say hai pyaar
o jannaab e aalee

your turn…

Khoee khoee aankho(n) mey sajney lagey hei(n) , sapney tumharey sanamm
Jaanam meri jaanam, jaanam meri jaanam.
Ik pal jeeyey gey naa, hum tum bicharr key, aao yeh khaae(n) qasamm
Jaanam meri jaanam, jaanam meri jaanam.

(From Mr. Becharaa, Udit Narayan & Alka Yagnik ; lyrics : Nawab Arzoo)

[This message has been edited by Umar Talib (edited 10-12-98).]

Salam!
Umar sahab: Mehmaan to Allah miaan ki rehmat hotay hain! :) aur phir aap ko mezbani ka sharf bakhsha hay, koi mamooli baat nahin hay! :)(j/k) oh haan, danda paas hi parra hay! hehe

Akhiyaan milaoon kabhi akhiyaan churaoon
kiya tu nay kiya jaadu
kabhi ghabraoon
kabhi galay lag jaoon
maira khud pay nahin qabu

bina payal kay hi
bajay ghungroo

Akhiyaan milaoon kabhi akhiyaan churaoon
kiya tu nay kiya jadu...

Kissi key post karney ki deir thee. Abb hamai bari aayee, abb hamari baari.

Okay jee, listen to this hit song. Patta nahi(n) kahaan sey yaad aayaa hai :

Aap ki aankho(n) mey kuch mehkey huey se raaz hei(n)
Aap ki aankho(n) mey kuch mehkey huey se raaz hei(n)
Aap sey bhi khubsurat, aap key andaaz hei(n)

Labb hile(n) tow mongrey key phool khiltey hei(n) kaheen
Aap ki aankho(n) mey kyaa sahil bhi miltey hei(n) kaheeen
Aap ki khamoshia(n) bhi aap ki awaaz hei(n).

(Kishore & Lata, lyrics : Gulzar, film : Ghar)

[Hayaa jee, welcome aboard aurr abb aaye gaa asli mazaa ;))

[This message has been edited by Umar Talib (edited 10-12-98).]

o holay holay jee
thoree asaan game hojayey to kya :)

akhian tu mila lay raja
aayain hain din bahar kai
akhian tu chura lai raja
chayain hain din yaeh pyaar kai

mr lova mr lova
teri aankhon ka jadoo
mr lova mr lova
teri baton ka jadoo

i swear the song is a complete shughal: :)

MR.

soi soi aankhain,
kaisaa hai yeh khumaar?
barhtaa hee jaata hai,
lamhon ka yeh fishaar.

kab tak rona hai?
kiss ko paana, kiss ko khona hai?

rasmain jhooti hain!
waaday jhootay, kasmain jhootee hain!

soi soi aankhain,
kaisaa hai yeh khumaar?
barhtaa hee jaata hai,
lamhon ka yeh fishaar.

Low jee, yeh hai hamari chaal :

Pardesio(n) se naa ankhiyaa(n) milaanaa
Pardesio(n) se naa ankhiyaa(n) milaanaa
Pardesio(n) ney hai ik din jaanaa
Pardesio(n) se naa ankhiyaa(n) milaanaa

Kehna hi kiyaa
yeh Nain ik anjaan say jo milay
chalnay lagay muhabbat kay
jaisay yeh silsilay
armaan aisay dil mai khilay
jin ko kabhi mai naa janoon
woh hum say hum un say
kabhi naa milay
kaisay milay dil naa janoon
Ab kiya karain
kiya naam lain
kaisay unhay mai pukaarooon

Kehna hi kiya
Yeh Nain ik anjaan say jo milay...

Aankho(n) sey tu ney yeh kyaa keh diyaa
Dil yeh deewana dhadakney lagaa
Tanhaii mey hum miley iss tarah
Barish mey sholaa bhadakney lagaa
...

Adaab, adaab,
Ya haan tow roanak hee roanak, shukar Allah kaa, aur mayray idhar tow bas naa poochiye...
Okay here's one lekin ghar pay naheen hoon so no clue movie ka keya naam hai

Jhuke'e jhukee si nazar
Dil may peya'ar
Hai kay naheen

Daba'a dabaa saa....

(Jagjit Singh ji)

Aaj shaam kow 9:30 takk meri class hai, iss liye, I may not be able to post anything then. Tow iss liye, abhi saraa zoar lagaa detaa hoo(n). MahaRaja yaar, don't mind. Yaar University tennu teh dinn nu nahi(n) chad-dee teh mennu raat nu nahi(n) chad-dee. Cannot life be a long-weekend with no worry about anything. Oh I wish.
AnYwAyS, here goes :

Aankhe(n) kyun ladtee hei(n)
Neende(n) kyun udtee hei(n)
Saanse(n) kyun rukti hei(n)
Yeh pyaar pyaar kyaa hai, inkaar yaar kya hai,
Yeh jeet haar kyaa hai, piyaa!...

akheeyon kay jharokon say,
menay dekhaa jo saanwaray,
tum door nazar aaye,
baree door nazar aaye!