Yaar hijrat lakhon logon ne ki thi aur siwaye chand aik jaahilon ke koi bhi insaan muhajiron k liye ghalat ilfaaz istimaal nahi karta. MQM walay muhajir honay ki wajah se badnaam nahi balkay qaatil, ghunday aur bhatta khor honay ki wajah se badnaam hain aur is qisam k log Pakistan k har hissay main hain so is main muhajiron ki koi badnaami nahi. Aik Qaatil sirf QAATIL hota hai Muhajir, punjabi, Sindhi, pathan ya balochi nahi hota aur hamaray sayasat daan bhi luteray hain na k Muhajir ya punjabi.