Re: kai dino se udas rehti hy aik larki saheliun me
na jane kin gham ke jugno’on ko chupae phirti hai muthiyon main
kai din se udaas rehti hai ik ladki saheliyon main
kabhi to yunmuhabbaton ki mithaas lehjon main ghol dekhen
guzarti jati hai umr sari udaas baton ki talkhiyon main
hamari khwahish ke raaston main mehak rahi hai wafa ki khusboo
muhabbaton ne badal diye tamam manzar udasiyon ke
Hamen khabar hai hawa mukhalif roshni ke payambar ki
charagh phir bhi hum jalae rakhte hain hum muhabbat ke aandhiyon main
ye jante hain teri fitrat na-aashna hai wafa se phir bhi
teri taraf se lagae rehte hain khud ko tasalliyon main
kabhi kabhi to muhabbat ke yaqeen lehje main guftugu ho
kahin to mera bhi naam aae teri wafa ki kahaniyon main