~Kabhi jo fursat tumhain milay~

Re: ~Kabhi jo fursat tumhain milay~

hi **
*Aap logon kay achay zouq nay mujhay bhi Aap kay sath apni pasand share karnay per majboor kya so Afzal Ahmad ki aik khoobsurat ghazal hazir-e-khidmat hay *
**umeed hay aap ki collection main aik acha izafa sabit ho gi :)

Kajal teri aankhon ka meri aankh main dar aa'y **
**main baat karon tujh say aur sham utar aa'y

kuch roz talak angan bheega howa rehta hay **
**badal ki si shawl irh'hay jab tou meray ghar aa'y

ham dekhtay hian tujh ko barish kay maheenoN main **
**bheegay howay baloN main tou aur nikhar aa'y

sarsabz shajar tujh ko gheray howay rehtay hain **
**haan yaad yeh peela sa dil tujh ko agar aa'y

jis hath pe dharna thi qndeel-e-hina ham ko **
**ham apni siyahi bhi us hath pe dhar aa'y

gandum say teray tan main pholoN ki si khushbu thi **
**ham sans teray ghar ki dehleez pe dhar aa'y

sar phorhti phirti thi rukhsat ki hawa har su
so ham teray kouchay say chup chaap guzar aa'y

Afzal Ahmad