Jungla Bus In Peshawar

Re: Jungla Bus In Peshawar

woh bhai k sawal ka jawab day raha tha warnah jasos aor topic say hat kar bat karay na mumkil :cobra:

Waisey mein yah sawal bhi pooch skata hon ka Charsi Khan Pencil Khatak kay sath is ishtihar mein kia kar raha hay leekin choro mein nahin pochta

han to andar key bat hay kah IK sey sub logon nay mil kar kahan kah ap nay chars k nashay mein metro ko buhat bura bhala kaha lekin haqeeqat yah hay kah yeh achi cheez hay aor ghareebon ka kaam aa jati hey hum un ko meethi meethi golian to day rahay hain lekin ager kuch sahoolat bhi day dain to hamara naam bhi ho jay ga

Khan nay buhat socha aor phir aik zoor dar sutta lagaya to chars seedhi dimagh ko charh gai aor unhon ney ser hila dia jis par yah mansoba peshawar mein shuru ho gia

ab daikhna yeh hey kah Khan sahib key andhey aqeedat mand kub is thread mein aatey hein aur english bol kar sabit karein gaiy kah yah mansoba so feesad theek aor sasta hey jub ka lahore key jangla bus ameeron k sath zulam hey kah ghareb un say jaldi shahdra phunch jatay hein :sunnyboy:

metro](http://www.paklinks.com/gs/usertag.php?do=list&action=hash&hash=metro)
#keep_trolling](http://www.paklinks.com/gs/usertag.php?do=list&action=hash&hash=keep_trolling)


Restored attachments: