Re: JONAID ( tanhai ka shor)
her ghadi hontoon pay sajaye muskan rekhta tha
woh hajoome shahar mai bhe alag pehchan rekhta tha
kehan say ab ussay dhoond ker laoon main
woh jo mujh say bhi ziyada mera dhiyan rekhta tha
uski aankhoon mai jaltay thay deep hazaroon
woh apni nazroon mai sara jehan rekhta tha
kisi aur kay baray mai soochta bhe nahi tha
bus mujhe he dil mai woh nadan rekhta tha
meri choti choti batoon key fiker hooti the ussay
meray liye woh khud ko pareshaan rekhta tha
jab jab hota tha meray pass woh toa phir
khud ko gird o paish say anjan rekhta tha
woh he toa tha jis pay bohat naaz tha mujhe
woh he toa tha jo mera maan rekhta tha
gaya toa saath lai gaya meri rooh naadim
woh goya qabzay mai meri jaan rekhta tha