Re: Jashn-e-Azaadi Competition

*Azizan e watan ! main aik dunia ghoom aya hon
Kahin roya kahin No e basher pay muskuraya hon
Mujhay pholon ki Khwahish thi magar main zakhm laya hon
Mera har zakhm kehta hai watan walon ko smjha do
Kay Pakistan say bahar hmara kuch nhi Yaro
Sar e maghrib bht insanyat par bolnay walay
Kahan insaaf ka dar ghair par hain kholnay walay
Yeh rangat kay tarazo main basher ko tolnay walay
Tumahain insaaf kya dain gay basher kay haq kay matwalo
Kay Pakistan say bahar hmara kuch nhi Yaro
Mujhay tasleem ik ghurbat meray dashat o man main hai
Abji tak roshni ka karvan shab ki thakan mai hai
Khazan ki bhi amaldari abhi tak is chaman mai hai
Magar phir bhi yeh janat hai, isay janat bna rakho
Kay PAKISTAN say bahar hmara kuch nhi Yaro
Kahin bekhwab kashmiri, kahin veraan afghanai
Kahin apas main jung ara iraki aur irani
Kahin sehonyat ki agg hai aur sirf labnani
Preshan wahdat e ISLAM ka khwab hai dewano
Kay PAKISTAN say bahar hmara kuch nhi Yaro
Isi neelay samandar say yeh dil mwaj hai apna
Isi arz e watan say is jahan mai raaj hai apna
Isi dharti kay sadkay main yeh thakt o taj hai apna
Isi ko zondagi samjho isi par zindagi varo
Kay PAKISATN say bahar hmara kuch nhi Yaro
Bka ki jo zmanat hai hmaray hoslon tak hai
Hmaray ghar ki mazbooti hmaray parbaton tak hai
Hmari shan e azadi hmari sarhadon tak hai
Ghulami kay siwa kuch bhi nhi us par shehzado !
Kay PAKISTAN say bahar hmara kuch nhi Yaro
Mizaj e alh e takat hai wahi chungaiz aaeni
Gwahi day rahi hai wakat ki be muhr sangeeni
Zameen chin jaye tu yun katal hotay hain falasteeni
Zameen ko mehboob rakho, bezameeni say aman mango!
Kay PAKISTAN say bahar hmaray kuch nhi Yaro
Yeh gulshan yeh baharon ka saman koi nhi day ga
Yeh suraj yeh sitaron ka jahan koi nhi day ga
Zameen khoi tu tum ko bhi aman koi nhi day ga
Watan yeh mit gya tu tum bhi mit jao gay nadano
Isi ko zindagi samjho, isi par zindagi varo
Kay PAKISTAN say bahar hmara kuch nhi Yaro
*