Jannat ka phal

Re: Jannat ka phal

:omg:

jo ghalat hai woh ghalat hai

Re: Jannat ka phal

abb kya jannat mae bhi asiey hi phal milein gey mae tu nahi jarahi phir :barbie:

Re: Jannat ka phal

is daur e samaaN [time of inflation] ke silsile se mujhe do lataa’if yaad aa gaye, 'arz karne kii jasaarat kartaa huN:

  1. ek shaKhs phaloN kii manDii meN phaloN kii reRhiyoN kii qataar se ek ek kar ke vo phaloN ko soonghte huye aa rahe the. jab aaKhirii reRhii pe pahoNche to dukaandaar ne Ghusse se kahaa:

“kuchh KhareedeNge bhii yaa bas yuN hii soonghte hii raheNge?”

vo shaKhs bolaa, “is mahngaaii ke daur meN maiN bas phaloN ko soongh hii saktaa huN, Khareed nahiiN saktaa!” :cb:

  1. mausoof ke vaalid saaHib ek duusii aamoN kii manDii meN zaraa muKhtalif andaaz se yehii Harkat farmaa rahe the.

baRe miyaaN aamoN kii reRhiyoN kii qataar ke ek sire se tuKhmii aamoN kii sampling shur’uu kii…na Khareedne kaa 'uzr bayaan karte huye farmaate k is aam meN ras kam hai, is aam meN turshii ziyaada hai yaa is aam meN reshe bahot haiN…Gharaz k bas vo ek aam chooste aur koii na koii bahaana taraash karte huye aage baaRh jaate.

jab aaKhirii reRhii par pahoNche to Tunak mizaajii se reRhii waale ne kahaa:

“baRe miyaaN, ab tak to aapkaa peT ek ek aam kaa zaa’iqa le le kar bhar chukaa hogaa, ab kal tashreef laaiyegaa…ek nayaa zahreela aam aayaa hai…aap use try kijiiyegaa!” :cb:

btw, aap meN se kisii ne kabhii soyaa aam kabhii khaayaa hai yaa kabhii uskaa naam sunaa hai?

Re: Jannat ka phal

soya huwa aam? jiia aur fariha ne introduce karwaya hai?