Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

jes jes ju r rite!!

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

pehlai apni cheezein toorta tha lakin ab kuch badal giya hoon aik baar muje itna ghussa tha k main nai apna pc jo bilkul niya kharida tha aur 17 inch lcd screen toorh dey:bummer: …

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

what stupidity r u talking abt ? :hoonh:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

:grumpy:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

^Tum kiyun itnay LAAL ho rahay ho :barbie:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

BP high rehta hey kia

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

heeein
ya Allah itna gussa:smack:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

aur baad main bahoot dukh houwa nuksaan
karnai ka:grumpy: …

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

Jee karta hai… chalo rehne do

:barbie:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

Mujhe ghusa bahut bahut bahut rare ata hi,my friends ( who are my classmates from KG to PG) says that they haven't seen me angry
agar agay tho kuch bakwas bol deta hun, aur galiya bi deta hun baad me pachtata hun

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

Mujhey tu bas payar ata hai :blush:

our baar baat ata ahi

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

:bism:

:salam:

Ghussa Aur Mashwaray

Bohat acha sawal poocha hai.

Mujhay pehlay to ghussa ata hi naheen tha.

Ub anay laga hai balkay bohat ziada anay laga hai.

bohat ziada ghussa anay say pahlay mujhay ghussa ata tha to sirf roti thi aur kuch na kahti thi. Main bhi apnay kamray main jaa kar roti thi. Phir Raat kay waqt dil khol kay roti thi (operation clean up dil ka karnay kay liaay).

Apnay ghussay pay musalsal control kartay kartay aik waqt ata hai kay logon ka yay daikh kar zulm barh jata hai jub aap unhain jawab naheen daytay ya ghussa honay wali baat pay ghussa naheen kartay. Is tarha logon ka zulm mazeed say mazeed tar hota jata hay yay samajh kar kay aap bewaqoof hain.

Zid zub karnay say aisa hota hai kay aap ka zubt khatm hojata hai. Aur aap kay undar ghussay ka pahar jama ho jata hai. Ub meray khiaal main yay tareeqa bilkul sahee naheen is tarha baad main aap ko ziada ghussa anay lugta hai.

Ub mujhay jub ghussa ata hai to bohat shiddat kay saath aur ghussay main main zor zor say bolnay lugti hoon yani ba awaz e buland aur ghalti karnay walay/wali ko aik lumba lecture dayti hoon.

Ghussay ki halat main jo bhi kuch kia jata hai sub ghalat hai inka hal bhi nikalna chayaay.

Apnay as paas kay afrad ko main nain sikha dia hai jub mujhay ghussa anay lagay to mujhay yaad dila dain kay mujhay ghussa aa raha hai. To wo mujhay isharay karnay lugtay hain. Ub mujhay choti choti baton pay ghussa ata hai. Pehlay bari bari baton ka bhi asar naheen hota tha.

Main nain aas paas kay logon ko sikha dia hai kay ghussay kay halat main islam kia batata hai.

Bamutabiq Islam

Ghussay ki halat main khar’ay ho to baith jao
Baithay ho to lait jao
Munh dho lo
Wazoo kar lo
Thanda pani pi lain
Innallah Maas Sabreen Parhain
Tauba Astaghfar Parhain
Lahol wala Quawwat Parhai

Mera Mashwara
Aap par kisi baat ka asar ho raha ho to yani kisi lar’i ho ya burai ka to 3 bar ghari sansain lain ankh bund kar kay.

Ghussay kay waqt rukain kisi aur taraf dhiaan lagain usko bilkul na sochain yani aap koi aisa post parhain jis say aap ko ghussa aay to jaisay hi ghussa anay lagay nigahon ko hata lain idhar udhar daikhain dimagh ko kisi aur taraf laganay ki koshish karain. Kursi say uth kar kharay ho jain. Ja kar kuch kha pi lain ya kisi say batain kar lain. Ya kuch bhi kar lain phir agar dobara parhna zaroori ho to parhain naheen to us post ko skip kar jain. Phir jawab likhain laikin koshish karain ghussay kay baghair.

Ghussa achay alfaaaz main bhi utara ja sakta hai na kay gali galoch aur tu tar’akh aur bura bhala kah kay. Bohat say aisay tareeqay hain.

Koshish karain apnay achay pyar bharay alfaaz say budamizi karnay walay ko ahsaas dilaain kay wo ghalat kar rahain hain.

Mujh pay jub koi ghalat baat ya jhoot ilzaam laga raha hota hai to main kah deti hoon main is mamlay ko Allah aur Qiyamat pay chorti hoon, ya jhoota ilzaam laga kar aap mujhay takleef ponhcha rahain hain main is pay sabr karti hoon aur Allah aap say is ka badla layga aur qiamat kay din main aap ka girayban pakroon gi.

Kabhi kabhi yoon kahti hoon kia qabr main aur roz e qiyamat dunday khanay ka irada hai jo yoon jhoot bola ja raha hai. Ya kabhi yoon kahti hoon Kia aaj Allah tala nain aaj aap ko jhoot ki ijazat farma di hai.

Chezain phainkna ya tor’na bohat buri baat hai. Pagalpun ki nishani hai itna bhi kia ghussa kay hosh o hawash hi kho baithay insaan. Junooni log is tarha kartay hain.

Mera mashwara hai un logon kay liay jo bilkul khamosh ho jatain hain aur phir tanhai main ro laitain hain aisa na karain yay zulm hai apnay uper mujhay khud tajarba ho chuka hai baad ka anjaam ziada bura hota hai. Behtar aur achay andaaz main apna ghussa zaroor utar lia karain naheen to kaheen likh kar zaroor phar’ dia karain.

Jub koi mujh say jhoot bolta hai ya mujh pay jhoota ilzaam lagata hai to mujhay shadeed ghussa ata hai. Main nain apnay aas paas kay logon say kah dia hai koi meri burai karay mujhay na batay koi bhi jhoot bolay meray baray main ya mujh pay jhoota ilzaam lagay ya to khud sunain naheen ya mujhay batay naheen.

Ub main apnay ghussay ko kum karnay main apni madad aap kar rahi hoon.
Ub main nain apnay dushmanaon ko apna dost bananay ki koshish shuru kardi hai.

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

alright then thats a wrap for this thread then :what:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

:sheen:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

let me join you:sheen:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

:rotfl:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

kabhi 2 kabhi 3 :hoonh:

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

2 and 4

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

sometimes jab ghusa aata hai to i get quiet.
sometimes i just leave the room/house.
sometimes i take it out.

Re: Jab Ghusa Aata Hai, what u do ???

3....I just bite my tongue and remain quite!