Re: Jaane kab tak jiyenge tere es ’Kahar’ ke saath…??
maiN to is thread kaa title paRh kar bahot haNsaa! pataa hai kiuN? maiN samjhaa k shaa’ir kah rahaa hai k na jaane use kab tak jeenaa paRe maHboob/maHbooba kii paalkii ke **kahaar ke saath [palanquin bearer=paalkii uThaane waale kahaar] **lolllzzz…magar, yeh lafz to qahr hai na k kahar [palanquin bearer] hehe
Re: Jaane kab tak jiyenge tere es ’Kahar’ ke saath…??
hahaha…aapne to abhii tak us thread ko zeenat nahiiN baKhshiii…ab yeh zeenat koii Zeenat Begam nahiiN…lol
lol…aisaa kiuN? shaayad aapko pataa na ho k aap jaane anjaane meN roz hii saikaRoN alfaaz aise boltii haiN jo Hindi zabaan ke hote haiN
bajaa farmaayaa…jahaaN jahaaN aur jin jin kisii lafz ke do Huroof ke beech ‘Harkat’ nahiiN hotii unko 'aam bol chaal meN Ghalat bolaa jaataa hai aur yeh Ghalat talaffuz ab Ghalat ul 'aam se irtiqaa kar ke Ghalat ul awaam kii saf meN aa khaRaa huaa hai. sad indeed!
i don’t think so…it’s NOT just in writing Urdu in Roman but it’s also prevalent in speech…'aam bol chaal meN yeh Ghalat bolaa jaataa hai.
Re: Jaane kab tak jiyenge tere es ’Kahar’ ke saath…??
Punjabi kuri aap ko yaad farma rahin thin.. unhe GaRhi urdu se kafi shaghaf hai aur chahti hai ke kuch un ke gosh guzar kia jae.
lo ji, kar lo gallaaN...aap Khud Ghalib aur Bashir Badr se kaheN k saqeel Urdu boliye lol...mA, aapkii Urdu to subHaan Allah Urdu-e-mo'alla hai :)