Re: ► Islami Jamhoriya Pakistan Kay Gaddi Nasheen Aur Jageer Daar
Mujhay apany gaoon ka aik baba jee yaad aa rahay hain jinn ko kissi baat ka pata ho nah ho leekan inhoon nay apni “anmol” ray zaroor dainay hoti hay ![]()
Aik dafa main nay socha yah kabhi jahaz (Aero plane) main naheen baithay to inn kay samnay jahaz key baat karta hoon.
Main nay kaha yaar Jahaz main loog bath room main jatay hain aur sub kuch nikal kar aa jatay hain to Jahaz wallay uss ko kaheen naheen phainktay hain ? Har koi apni ray day raha tha
Leekan Baba Jee nay bari soch samjh kar apni baish qeemat ray di kah “main nay khud daikha hay woh vairanoon main dabbay main daal kar phaink daitay hain”
![]()