Ishq ki chakki

Re: Ishq ki chakki

yeh cultural cheez hai…India meN zameendaaroN ke gharoN meN acchoot kaam kiyaa karte the vo bhii FREE meN [undeclared slavery] … hotaa yeh thaa k in chamaaroN ko zameen de dii jaatii thii jis par vo kaashkaarii kar ke apnii aur apne Khaandaan kii kifaalat kiyaa karte the…chaamaaroN kii ghar waaliyaaN zameendaaroN ke ghar meN aa kar kaam kiyaa karti thiiN…unkaa kaam yeh thaa k fasl jab kaTtii thii to yeh anaaj kii processing kiyaa kartii thiiN [jaise daal darnaa, chaawal kaaNRnaa] aur jab bachche paidaa hote the to un zacche aur bachche kii maalish vaGhairah kiyaa kartii thiiN.

merii bhii maalish babyhood meN chamaarin ne hii kii hai! :smiley: