Agar aap ko kisi ne saghma pahonchaya gaali de kar, ya aap ki beizzatti kar kar, tau aap us banday se jaa kar hisaab qitaab barabar kar lein.
Jitna mujhe patta hai, iss forum pe aisa banda nazar nahin aya mujhay. Aur agar koi apni hadh paar kar bhi jaye, tau Moderators aa dhorte hain.
aur phir bhi aap baar baar keh rahe ho YOU GUYS sa this and YOU GUYS say that...
Baqi, agar aap ek pakistani forum pe aa kar, Pakistan ke khilaaf kuch likhainge tau zahir hai, jawab tau milayga na aapko. Lekin yahaN ke loguN ne phirbhi sharafat bharray jawab diye hain. Doosray forums pe jaa kar dekhiye ga awam kaise paish ati hai (non pakistani forums)
Mere bhai mujhe kisi se ye shikayat nahin ki kisi ne mujhe gali di, to hisab barabar karne ka koi sawal hi nahin hai.
Aapko is bat ki shikayat hai ki main U guys kahta hooon? kya main jaan sakta hoon ki asal me maine aisa kah diya jo galat tha?