kya yai hal hai!
Denmark, pope, azerbaijan......
Ma`afi chahta hoon magar poochna chahon ga kya sirf us gustakh ka katal maslay ka hal hai. Hazoor (p.b.u.h) masoom aur bahtareen insan thay. Ye log Hazoor (p.b.u.h) ko nahin jantay hain. Yeh jo likhtay hain woh islam aur muslims ki mojoda halat ko dekh kar tabsara kartay hain. Is kay liye zaroori hai kay by large logon ki islam kay mutaliq ghalat fehmiyan door ki jain, aur muslims apna conduct behtar karain.
Jab student fail ho raha ho to ustad par unglian uthti hi hain.
Allah sab ki maghfirat farmay!