**IN the line of fire by Problem girl **
guzar rahay thay Aq phooloon ki koonj say
k takra gaye un ko khwaboon ki ik haseena
nazrain jo milli to, dil hoa bay qabooo
sanwartay hoye ballon ko baray andaz say bolay
shaid pehlay bhi kaheen daikha hay app ko ?
haseena muskurayee or ik zor say ceekh lagayee
jaldee say aoo mere bachoo ..MAmoo say eidi lay loo
floodr-e-azam ,shaair-e-gupshup , Aq aka Anwaar Qureshi .. app janab ki waladat bara-e-azam asia kay mulk pakistan kay shehar karachi main hoyeee…
app ko bachpan say hee likhnay ka shooq tha
isee lay hosh sanbhaltay hee sub say pehla kam class fllow ko love letter likhnay ka kia or shareef itnay k pehlay seedha ja ker pehlay teacher ko
dikhaya k dekhain is main koi imlaa ki ghaltee to nahi hay ? teacher nay hosla afzayee k ley do danday raseed keye
or ghar akar abba jan say izafee shabsbee k tor per jootay khayeee
kisi faqeer baba nay App ko dua dee baita to bohat likhay ga ..tera likha duniya perhay geee
or ajj us khuwab ki shermind-e-tabeer AQ nay flooding ki soorat main kee or 45k posts likh maree
hussan per app ko hamesha apnay opper naaz raha hay …yeh or bat logoon ko is per aytraaz raha hay (App ka khiyal yeh sub hasad k siwwa kuch nahi )
shair o shiree per app ki khasoose nazar hay is ley chashma istimal kertay hain ..poetry sec main aksar radeef qafia wazan kay leacture
daytay hoye nazar atay hain yeh or bat ha k koi bhi in ki nahi sunta
app kay khiyal main duniya baree zalim hay jo app kay khaloos baharay dil ko her bar totay totay ker daytee hay
or app janab bhi Dheetoon kay badshah hain her bar Elfi laga ker wapus ajatay hain
app ko bachpan say hee judge bannay ka shock tha lakin examner ki nalaiqee ki wajha say her dafa shandar numbers say fail ho jatay ..
lakin poetry sec k **Ammal **nay is heera ko pehchan lia or her competiton main judge bana daytay hain .
App ki pasndeeda shaksiyat Mr fraudia or Ehsan bhai hain …lakin app ko in say lazwal muhabat per aksar raqeeboo ( Triqlkhan )ka samna rehta hay ..or app Chamcha of mr Fraudia kay nam say pukara jata hay .
app hamesha pyar o muhabbat ka dars daytay dikhayee daytay hain ajj kal in ka muhabat per taza BAyan general main chal raha hay or yahan bhi kuch raqeeboon (aliyish)ki duaain sath sath hain
app ka dewaaan *** GS ki muhabtaain** * shaiya honay wala hay
jis ki jhalak hum app ko dikhatay hain
na pooch mere satheee kia kia dukh uthayee
mere dil nay jisay pukara ,usay hum bhai nazar ayee
jis per bhi mera dil ayee ,wohee mod bun jayee
phir mod bun ko hum ko us nay praim patar(warnings) bhijwayee
is k sath hee hum ijazat chahtay hain
Allah hafiz