India vs. England * 9th April 2006, 5th ODI*

Re: India vs. England * 9th April 2006, 5th ODI*

AEYYYYYYYYYYYYYYY, yeh kiya mazaaq laga rakha hai? Yeh kiya dekh raha hoon mein apni aankhon kay samnay? AISA NAHIN HO SAKTA!!! Mein insaaf chahta hoon, INSAAF! Mein apni qaum kay logon kay liyey insaaf talab karta hoon. Yaad hai woh din, jub hum aapkay liyey itni yakh dhoop mein maaray maaray ghooma kartey thay, sirf aur sirf eik kilo doodh leney key liyey, taakey aapki dil ki muraad poori hojaye? YAAD KAREIN WOH BHEEGI BHEEGI RAATEIN, jub baarishein baree zor sey hotee thee aur hum aapko apni nayi navailee chatree kay neechey sonay ka mauqaa detey thay, takey aap per boondein na tapkein? Yaad hai woh din, jub aapkay Nikah kay din hum khud apnay in haathon sey Qaazi ko kaan sey pakar kay aapkay samnay laye they? Agar hum na hotay to aaj aapkay chootay chootay chaar bachay na hotey. Agar hum na hotey to aaj aapko gaye ko dekh kar sadma na puhunchta. Agar hum na hotey us baarish ki raat to aapka naa-jaaney kiya haal hojaata. KAHAN HAI CHEETAH JEE KA INSAAF? Cheetah Jee, aapko in logon nay tabah-o-barbaad kar kay rakh diya. Aapki khoon paseenay ki kamai mitti mein paani daal kar mila dee. Aapki din raat ki mehnat in logon sey dekhi nahin gayi, aur yeh dekhein, khullam khulla sarak per aa kar apna thaila beech mein lay kar kharey hogaye hain. Koi roknay toknay wala nahin hai inko. Koi poochnay wala nahin hai. Koi INSAAF deney wala nahin hai. Upar walay bhi rishwat khaa khaa ker aaj sarkaari naukri per lagay hue hain. Aakhir kub tuk Cheetah Jee ko bardaasht karnee parengee yeh zamanay kee dee hue thokarein? Aakhir kub tuk sehna paray gaa unko is bay-rehmi kay saath zulam-o-tashaddud? BUHAT HOGAYA, BUS, BUHAT HOGAYA. Ab eik lafaz aagey aap bolay to hum is ghar ki deewar ko tor dengey. Hum donon kay beech kharee deewar ko maar girayengey, aur is pyaar ki dee hue nishaani ko qadmon talay kuchall dengey.

Acha waisey merey paas eik free laptop ka coupon daraaz mein para hua hai. Lengey aap jee? :D