IFFE`s collection

Re: IFFE`s collection

**Kisay Pukarein Hum Is Hajoom-e-Ghum Mein
Ke Sab He Hamarey Aizmaye Hoay Hain

Tum He Nay Kar Diya Tanha
Warna Ham Bhi Talouq Nibhaye Hoay Hein

Dhemay Dhemay Ansoo Dil Say Girtay
Ke Hum Apne Ghum Sab Say Chupaye Hoay Hain

Unn shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pay Ansoo Bahaye Hoy Hain

Hum Karain Abb Kisi Pay Kesay Bhrosa
K Zamanay Say Dhoka Khaye Hoay Hain

Khushiyon Say Bhi Ab Tu Lagta Hai Dar
Is Qadar Zakhm Hum Nay Khaye Hoay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Berhaien gey Ham
K Zamanay Bhar Say Thukraye Hoay Hain**

Nice collection:)

Re: IFFE`s collection

waaah bahut aala!

thanks muddi and munchoo

Re: IFFE`s collection

USe keh do hazaron pal tumharey bin na pucho kaise kattay hain

kabhi yadian rulati hain ,kabhi musam satatey hain

USe keh do hum aye hain hamain mayoos na kerna
hamara maan rakh leena
hamain wapis nahin jana

hamian dil mein basa lena

hamain apna bana lena

bohat tarpe howe dil se bohat rotha nahin kertay

Muhabbat to ibadat hai

Ise ruswa nahin kertay

zamaney se chupatey hain kabhi chrcha nahin kertay

Suno aise nahin kertay

Suno Aise nahin kertay

Re: IFFE`s collection

Sokhey darakhton ki nechey sula ker bhool ghiya

ajeb shakas hai sapney dekha ker bhol ghiya

yeh ujhra ghar to us ki nishani hai

jo apne naam ki takhti laga ker bhol ghiya

Liya Tha Aik Wada Tumne Mujse
Hamesha Khush Hi Rehna Hai
To Dekho Dekh Lo Aa Kar
Meri Ankhon Ko Dekho Tum
Yeh Kitni Shokh Lagti Hain
Mere Honton Ko Dekho Tum
Hamesha Muskuraty Hain
Koi Bhi Ghum Agar Aye
Usay Hans Kar Saha Main Ne
Mere Chehray Ko Dekho Tum
Hamesha Pur Sakoon Ho Ga
To Socho Gay
Kia Tha Main Ne Jo Tumse
Wo Wada Ker Diya Poora

Magar

Ik Baat Hai Piyare
Kabhi Jo Waqat Mil Jaye
To Meri Shairi Parhna
Tumhain Mehsoos To Hoga
Kaheen Talkhi Bhara Jumla
Kaheen Yeh Sard Sa Lehja
Kaheen Par Dard Ki Jheelain
Kahin Lehjay Ki Karwahat
Suno
Main Khush To Hoon Lakin
Lahoo Har Lafz Roota Hai..

Re: IFFE`s collection

Rut jo badli tho badalthey hue deka usko
Mom ki thrah pigalthey hue deka usko
Rut jo badli tho badalthey hue deka usko

Woh jo kaanto ko bhi narmi se chuwa kartha tha
Aaj poolon ko bhi masalthey hue deka usko

Jaaney kis gham ko chupaaney ki thamanna hai usey
Aaj har baat pe hansthey hue deka usko

Jaaney woh mangna chahtha hai duaaoon mein kissey
Haath uthaathey hii sisakthey hue deka usko

Re: IFFE`s collection

Jaaney walay ko kaho,
Aaj is tarah jaaye
Har dil ko lage C H OT,
Har aankh bhar aaye

Re: IFFE`s collection

Wo Roye Tu Buhat Par Muj Se Mou Mor Kar Roye
Koi Majburi Ho Gi Jo Dil Toor K Roye
Mere Samne Kar Diyeh Meri Tasveer K Tukrey
Pata Laga Mere Pichay Wo Unhein Jor Kar Roye