Idioms about animals

Re: Idioms about animals

ek zamaana beet gayaa…ab tak to makkhii hazam bhii ho chukii hogii…vaise, aur bhii to haiN moHaavaraat is makkhii bibii par! :cb:

Re: Idioms about animals

^ yes "aankhon dekhay makhi nigalna' is another one.

Re: Idioms about animals


ittefaaqan, yeh bhii ho chukaa lol :p

Re: Idioms about animals

Farishton ne aisa iss liye nahin kaha tha ke unhe Qabeel ko Habeel ke qatl karne ka ilm ho gaya tha, unho ne ye iss waja se kaha tha ke wo khud khuda ki marzi ke khilaf kuch nahin kar sakte the.. aur jab unhe ye bataya gaya ke Insaan ko Khaleefa bana ke bheja jae ga (yani kuch ikhtiaraat ke sath) to unhon ne iss guman ka izhar kia ke apni marzi wali makhlooq khuda ke ihkammat k khilaf warzi kar sakti hai. aur ye bhi ghaur talab baat hai ke aadam ko banate hue hi ye keh dia gaya tha ke wo zameen ki taraf khalifa bana kar bheja jae ga.

Re: Idioms about animals


bilkul bajaa...magar, farishtoN ko Khoon kaa ilm kaise huaa? iskaa jawaab yeh hai k Allah ne unko bataayaa hogaa [Ghaib kaa ilm sirf Allah ko hai] ... yeh naa-farmaanii nahiiN thii zaahir hai, yeh is amr kii taraf ishaara thaa k insaan be-jaa Khoon bahaayegaa! zaahir hai aajkal jo bhii be_jaa qatl o Ghaarat-garii ho rahii hai vo sirf 'maiN baRii k taiN baRii!" kaa hii to chakkar hai.

Re: Idioms about animals

Hath pe hath dhare makhi marna nahin huwa ab tak :)

Re: Idioms about animals


aur, naak pe makkhii biThaane waalaa moHaavarah ho gayaa? :)

Re: Idioms about animals

Magarmuch kay ansoo rona.

Re: Idioms about animals

Confused Gadhay ki dulatti - nani ki yaad dilayay :salute:

Re: Idioms about animals

:rotfl: Welcome back

Re: Idioms about animals

thankoo thankoo..

aur sunao. hows life?

Re: Idioms about animals

yeh moHaavarah kisii ne sunaa hai?

“gadhe kii kahaanii vo bhii gadhe kii zubaanii!”? :cb:

yeh kahaaniyaaN “Haiwaan-e-sadar” meN sunaaii jaatii haiN! :wink: