I need a bakra :(

Re: I need a bakra :frowning:

**maiN abhii itnaa royaa isii baat pe k meraa kaToraa [glass] bhar gayaa aaNsuuoN se to soch rahaa huN k peene kaa intizaam ho gayaa to kiuN na Gham bhii khaa luuN…aajkal ham TV par KhabreN dekh kar yehii do kaam kar sakte haiN:


peene ke liye aaNsoo aur khaane ke liye Gham **:frowning:

Re: I need a bakra :(

in ansoo k katory ko sambhal ker rakh lein.......... kahin kisi din water availbale na ho tu phir piye ga :p

Re: I need a bakra :(

paidooo bohat tod marta hai kabi khaya hai

Re: I need a bakra :frowning:

haN saHeeH…magar ek STRAW bhii rakh luuN taa k modern tareeqe se pee sakuuN :smiley: sugar Daal ke! :smiley: :cb:

Re: I need a bakra :frowning:

sugar bhi mehgi hai… aisy hi salty water pii lena :stuck_out_tongue:

Re: I need a bakra :frowning:

yeh hota kia hai??? :confused:

Re: I need a bakra :(


hmmm...agar aaNsuuoN kaa Haq adaa na kiyaa to 'namak Haraam' na kahlaauuNgaa? :D

Re: I need a bakra :frowning:

:omg:

agar suger dali tu zaroor namak ****** hogi otherwise no :stuck_out_tongue:

Re: I need a bakra :frowning:

nahiiN nahiiN…sugar se Diabetic aaNsoo ho jaayeNge :smiley:

Re: I need a bakra :(

lolzzzz diabeties achi nahin hoti... but without suger high bloodpressure na ho jaye :p

p.s. i didin't know k ____ word bhi allow nahin hai werna kabhi use na kerti shorry mods :p

Re: I need a bakra :frowning:

**Diabetes to achchhii hotii hai ek taraH se…iskii vajah se banda phurteela [active] hotaa hai aur muft meN dieting ke zariiye banda chharere badan [slim body] kaa maalik ho jaataa hai…aur, he becomes a wise eater! haiN na zabardast fawaaid :smiley:

yeh K word kia hai? :cb:**

Re: I need a bakra :frowning:

main tu diabetic nahin hoon phir bhi slim hoon … so slim bagair diabties k bhi ho jaty hain :smiley:

woh word yeh hai _________ :cb:
eik bar aur likha tu warning mil jaye gi :stuck_out_tongue:

Re: I need a bakra :frowning:

**maashaa Allah…ab aaj yeh nayaa fashion aayaa hai amreeka meN aur vo yeh k aaj se MOTI laRkiyaaN ziyaada bahtar samjhii jaane lagii haiN aur laRke sookhe se…yeh nayaa trend hai…:cb:

bataa do bhai vo lafz…koii kuchh nahiiN kahegaa kiuN k tum to sirf bataa rahii ho koi USE to nahiiN kar rahii ho :D**

Re: I need a bakra :frowning:

Amreekan tu hain hi pagal :smiley:

nahin bataoon gi main achi bachi hoon rules ko follow kerti hoon :smiley:

Re: I need a bakra :frowning:

Munni, tum yeah kis tarha k word use karnay shuru ho gai ? tum aisi to bilkul b nahi thee ? :smiley:

Piddo punjabi mein male sheep k liay use hota hay :slight_smile:

Re: I need a bakra :(

Woh word main ney kisi wrong meaning main use nahin kia tha.........main tu ab bhi achi bachi hoon :o

okies punjabi word tha jabhi mujhy nahin pata tha :p

Re: I need a bakra :frowning:

**maze kii baat to yeh hai k aajkal paagaloN kii following ko hii fashion samjhaa jaataa hai :cb:

are tumhaarii baRoN tak rasaaii nahiiN hai kia jo itnaa Dartii ho? :D**

Re: I need a bakra :frowning:

but hum pagloon ko follow nhain kerty :snooty:

koun sey bary??? :halo:

Re: I need a bakra :frowning:

**hmmm…magar tumhaare aage to sab paagal hii haiN to iskaa matlab huaa k tum paagaloN ko follow kartii ho :slight_smile: ham sab GS par tumhaare aage hii haiN :smiley:

achchhaa jaane do…maiN Khud ma’loom kar luuNgaa :D**

Re: I need a bakra :frowning:

Main ney kab aur kis ko follow kiya??? :hoonh:

kia maloom kerna hai ??? :confused: