Re: I am Back
^ Tujhay Pahlay he bola hay kah soch kar likha kar … aur haan socha bhi mat kar kiyun kah tou mazeed GANJA honay ka risk naheen layskta ![]()
Re: I am Back
^ Tujhay Pahlay he bola hay kah soch kar likha kar … aur haan socha bhi mat kar kiyun kah tou mazeed GANJA honay ka risk naheen layskta ![]()
Re: I am Back
main chewinggum nigal gaya...
Re: I am Back
kuch nai immi bhai, bass ravi door khara badlatya mosam aur rangon ko daikhta reh gaya aur sohni mahiwaal kay sath bhaag gai :-(
Re: I am Back
U r BACK??
front ko kiYa huwa ?? ![]()
Re: I am Back
yeh apki umar hai chewing gum khane ki :-|
Re: I am Back
chewinggum kay meri 32-Cee bhi chupak kar ander chali gai...
Re: I am Back
Aap ab tofiyan khaya karain… sweets candies aur chewing gum se parhez karain ![]()
Re: I am Back
laaya tha, poori bori bhar k laaya tha aik jagah say loot kar (aik shadi main batt rai theen)… lekin meray grand kids bhi to meray hi hain na, jab main soya to poori bori khali kardi, aur toffees ki jagah hari mirchian bhar din theen :s
Re: I am Back
![]()
yaani aap kisi kay nikah ki bidd utha ke le aaey
Re: I am Back
ab aap aesi cheezen na khaya karen jis main daant use hon :p
Re: I am Back
arrey main thori utha kar laaya tha, main bhi to smart hoon na, waheen say 2 bachay hire karay 10 10 rupay main, bas apna kaam hogaya hula
Re: I am Back
haan 10 rupay main aap ka bhi kaam ho gaya na ![]()
Hari mirchain jo haath aayen
aajkal 10 rupay kon laita hai, pakistan main bhikari bhi 10 rupay ka note wapis kar detay hain ![]()
Re: I am Back
to kia Biryani ko direct nigal jaoon ? :s
ya straw say peoon ?
zalim samaaj...
Re: I am Back
dada ji, daliya khaya karain, kion aisi cheez ki tamana kartay hain jo aap ke bas ki baat nahin
:halo:
Re: I am Back
ab aap hamain new new business ideas na do :s… warna raat bhar sochta rahoonga k iss ay to acha hay kay Bhikari bann jaon, profit ka dhanda hay waisay, no input, bas output hi output…
kai khaayal hay ? shuroo karain business? ap ladies section sambhaalna aur main no-jawanoN ka section smart n cool me
Re: I am Back
Ji nahin - denay wala haath maangnay walay haath se behtar hai ![]()
:yeh lain ![]()
Re: I am Back
waisay idea bura nahin ;)
Re: I am Back
kia karoon majboor hoon main, hamari bari bi ko kuch aata hi nai banana
sirf hamain hi banaya tha aur aaj tak banta araha hoon main … :s
aap hi kuch sikha dain hamari ‘UNN’ ko… unhain to koi fikar hi nai hamari…
kal hi Irani qorma banaya aur saaray badam pishtay chilkon kay sath daal diay…
main to har badam ko apna daant samjhta raha :s