Re: ~~ Humsafar ~~
Bohat Muddat Ke Baad Kal Jab
Kitaab-e-Mazi Ko Main Ne Khola
Bohat Se Chehrey Nazar Mein Utray
Bohat Se Naamon Pe Dil Paseeja
Ek Aisa Safha Bhi Uss Mein Aaya
Likha Huwa Tha Jo Aansuon Se
Jiska Unwaan Humsafar Tha
Woh Safha Sab Se Hi Mautbar Tha
Ek Aur Aansoo Phir Uss Pe Tapka
Phir Uss Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitaab-e-Mazi Ko Band Kar Ke
Usski Yaadon Mein Kho Gaya Main
Innhi Khayalon Mein So Gaya Main
Agar Woh Milti Tau Kaisa Hota
Agar Woh Milti Tau Acha Hota..