aap jinhein chahte hain , wo tau aap kaY ghar maiN beThi haiN
aap ka dil baRhaanaY ke liye, dau bachoN kee maaN beThi haiN
aap to abhi bhi dil kee gehraiyoon say chahtay hain unhein
wo aap say naraz naheeN, kar kaY singhaar beThi haiN
aap badshah hain , haal - e- dil wazeeroN ko sunaayeN
aap kee begaamat raah maiN dandaY liye din raat beThi haiN
aap bhi insaan haiN? qurb-e-qayaamat kaY aasar aa gaye
aap kaY intezaar maiN gadhiyaaN dau chaar beThi haiN
aadaab arz hai ![]()