HOW MANY OF YOU.....

I saw, aik bohaaaaaaaaaaat bara sa sehra hai, jahan main shadeed dhoop main bhaag rahi hun, aur dooor kahin mujhay aik puranay ghar jesa eenton ka kuch bana hoa nazar aata hai (isme kuch kuch dhundla dikhai diya, cant explain exact feelings and views), phir main usme dakhil hoti hun, koi shakhs wahan khara hota hai, main us se kuch sawal kerti hun, (sawal BHI nahin yaad) aur jawab main wo shakhs kehta hai, mujhse kia puchti ho, (aur aik taraf ishara kerke kehta hai) Unse poocho, WO hen Muhammad Mustufa S.A.W, (SubhanAllah), main Unki taraf rukh kerti hun, dekhti hun, MashaAllah SubhanAllah itna noor main nain apni zindagi main is se pehlay kabhi mehsus nahin kiya, main Unke husun Unke noor ki roshni main itna kho gai, k kia sawal, kesa sawal kuch yaad nahin raha, Unho ne Sufaid shalwar Qameez baaaayhadd noorani, chamakti hui, pehni thi, sufaid sar p topi jese namaz perhnay k liye pehni jati hai, wo pehni thi, haath main sufaid tasbeeh, aur mashaAllah sufaid darhi thi aur usme UNKA chehra saaf dikhai nahin diya, bohaaaaat dhundla, QK aas paas nooooor hi noor baras raha tha, bus shayad aisa laga jese kuch pal ko dekha, aur khuab wahi khatam...... Haseen tareeee ehsas, SUBHANALLAH!