Re: hmm..thinking…lets see wht u think…
Mujhay aap ki baat bohat achi lagi sara bilkul yayhi baat main nain kaheen aur post ki hai kisi aur website pay.
Bilkul main bhi aisa hi samajhti hoon. Koi insaan sirf bura ya sirf acha naheen hota. Her insaan acha aur bura dono hota hai. Yay to waqt aur halaat pay munhassir hay kub kon sa uska avatar us pay ghalba paa lay aur wo uskay mutabiq kaam karaay. Yani uski andruni burai jaab shaitan kay behkaway main aa jain ya jub uski undruni achai Allah kay rah pay chal jaay.
Thats why I love all ppl no matter bad or good.
Sara aap yaqeenan kisi ki burai kisi kay baray main sun kar yaqeen naheen karteen hongi jub tuk maloomaat ya tasdeeq naheen kar leti hon gi.
I don’t think you wrote rubbish. Aap nain bohat achchi baaat likhi hai. Laikin zadatar log is pay amal karnay kay bajaay suni sunai baton pay mukummal tor par yaqeen kar laytain hain aur kisi kay behkaway main aa jatain hain.