Re: hijr aur doobtay sooraj kii qasam
hijr aur doobtay sooraj kii qasam
shaam kay paar koii rehta hai jis kii yaadon say bandhii rehtii hai dharkan dil kii aur usay dekh kay seenay mein yahii lagta hai jaisay veeranay mein bemaar koii rehta hai hum bohet chup bhi nahien reh saktay door tak dhaltay hoye saaye uraatay hain mazaaq aur kehtay hain k aey zard udaasii walay tum to khamosh shajar ho koii aur jhonkay say bhi darr jatay ho subah hotii hai to umeed say jee uthtay ho shaam hotii hai to marr jatay ho hijr aur doobtay sooraj kii qasam door tak dhaltay hoye saaye uratay hain mazaaq shaam kay paar koii rehta hai
beautiful sharing :)