wow confused bhai, you did a great job. Baywaqoof are you posting your image now i guess you dont need to because confused has already completed the image, i would say a nice one.
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
.. acha acha .. ziyada matt charhaayen, picture main achi khasi technical faults rakhi huee hain .. i am sure bewaqoof bhai jootay lay kar doraingay maarnay ke liyay ke abay oye, naak naqsha bigaar kar rakh diya hay tumnay to …
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
. . (ratios chehray ke kaafi bigray huay hain) …
“Koee pyar karay to tum say karay, tum jaisay ho waisay karay. Koee tumko badal ke pyaar karay to wo pyaar nahin, wo sodaa karay, aur sahibaa, pyar main soda nahin hota…”
Tumhari ankheen jo may nay dekeen mastana ya di hogaya,
bachalo mujko OO meray yaroon tarapna mushkil hogaya
Love for all
oye mujhay nahee pata tha kay ali haider hamaray beech mein hein... yaar hojayee
"purani jeans aur guitar..."
Yarooo mein bara pareshan ek larki jawaaan
Hai woh barii shaitaan mujhay kar gayi hairaan
Kaisay karoun inkaar wo jo karaing Izhaar
.
[This message has been edited by BAYWAQOOF (edited May 16, 2002).]
wah ji wah..
did i forget to say Mubarakk to confused ??
Mubaaarrrkaaaaaaaaaaaaan !
itni khwari key baad picture laggi hai..!! challo this waz more succesfull than the rubbab ka burqa atleast !!
wow bawaqoof bhai u funny lol
are u kidding baba?
this guy doesnt look anything like ali haider
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/pagal.gif
btw..nice pic baywaqoof
~^~DrEaMs are answers to questions we haven’t yet learned how to ask.~^~ DS
[This message has been edited by hk (edited April 24, 2001).]
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
bilkul bilkul .. iss dunyaa main ORIGINAL kiya aur meri attempt kiya .. sabb chalta hay ..
waisay .. masha-Allah bewaqoof bhai .. abb parday main rakhnay say kiya faida.. ho jaaye intro PROPERLY..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
?
“Koee pyar karay to tum say karay, tum jaisay ho waisay karay. Koee tumko badal ke pyaar karay to wo pyaar nahin, wo sodaa karay, aur sahibaa, pyar main soda nahin hota…”
qibla aur keya shajra-e-nasab bataoon
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
pic laga dee na …aur kaun sa NAQAB uterwana hay ? lillah aap kee murad INSANYAT ka naqab tu nahee thee ?
With Love:
Only that person worth your tears, who never made u cry!
KHUDAAAAAAAAAAA KI pannahhhhhh. .
qurbaan jayoon aapkay andaaz-e-takallum aur uskay istimaal parr..
lagta hay lucknow ki PATLI galiyon say SEEDHAY yahin par waarid huay hain gupshup main aap ..
TABHI lehjay main wo KHANAK si aati maalum hoti hay ..
khair, (switching english, i can imagine moderator’s face right now that FOR GODDDDDDDDD’s sake, use normal lingo) …
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
so yeah, by intro i WASN’t asking u to take off ur INSAANIYAT ka nakaab (cuz i know that what picture it will be UNDERNEATH)
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
..
heheeh..
i was just gonna say ke KUCH to pata chalay ke kONN hain, kAHAN hain, kIYA kartay hain .
(khair jo KUCH nahin kartay, wo kamaal kartay hain, ITNA to pata hay … aagay phootain)
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
“Koee pyar karay to tum say karay, tum jaisay ho waisay karay. Koee tumko badal ke pyaar karay to wo pyaar nahin, wo sodaa karay, aur sahibaa, pyar main soda nahin hota…”
aafreen aafreen ( oops …lo eik PVT message a gaya aafreen ka even though k i was not calling her ) …wallah confused aap ka andaz-e-guftugoo batata hay k aap bhee shauqeen mizaaj..oops garhber ho gayee ..i mean rangeen..ooops phir phisal gaee zuban ..i mean …ba-haya, ba-waqar, ba-blan blam gharaney say tallauq rakhtey heen!
aab hum apna keya taaruf kareen…kabhee ghroor nahee keya
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
.. liken hum Kali4Nia say tallauq akhtey heen aabaiee watan Pakistan hay aur yahaan software kee daikh bhaal aur marramat..oops i mean software engineer kee naukree farma rahey heen !
aap bhee kuch AAGAY barheen na ! …na na mods that only means …introduce your self
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
With Love:
Only that person worth your tears, who never made u cry!
aaray mohtaram .. aapkay iss “SALEES” tarruf-e-husna ke baad kia majaal ke hamm sooraj ko torch .. i mean, sooraj ko chiragh dikhaayen? yani apni intro karaayen .. khair .. khana puri(fill in the blanks) takk karnay ke liyay phootay daitay hain .. ke naam hay Faizan .. Faizan Farrukh .. marammat aur thonka peeti HAMM bhee kertay hain .. awzaar zara doosray hotay hain apnay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
…
hamm aap say jo poochna chah rahay thay ASAL main wo ye ke hamm to PEDA hi confused huay thay, harkaton ki waja say dost ahbaab (urf SHAITAANI TOLA, buzurg salaamat rahain), nay naam rakh diya CONFUSED hay (followed by kuch nazeba alfaaz, jo ke mehfil main kehnay ke shayaan-e-shaan nahin hain)
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
, to hamari urfiyat tabhi say CONFUSED parr gayee..
khair AAP bataayen, ye urfiyat BEWAQOOF kahan say milee? walida majida mohtarma ki taraf say ya home minister bhabi ji ZOJA mohtarama ki taraf say?
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
ya phir. .ahmmmmmmm.. BACHON ki taraf say?
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
“Koee pyar karay to tum say karay, tum jaisay ho waisay karay. Koee tumko badal ke pyaar karay to wo pyaar nahin, wo sodaa karay, aur sahibaa, pyar main soda nahin hota…”
kya tofay cheez hain aap donoh
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif
ekh lakhnaow keh lal jamal, aur ekh dehli keh paan prasad.
bhai mian… ekh paan milay ga?
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
-mehndi
(agra ki biryani)
aray mashallah zahey naseeb mehndi bhee BA-zauq lagtee ( lagtay ) heen ..hameen in ko apnee mehfil meen khush-aamdeed kehna cheyee ! Aur Pan ka keya ziker chair deya , aap nay tu hameen ghamgeen ker deya hay …yaahaan UMREEKA k LAQ-DUQ sehra meen kahaan ka pan , kaisa pan..aap ko miley tu hameen bhee nawazyee ga !
aur confused miaan ..yee URFEYAT nahee hay ..BAYWAQOOF tu hamara NAAM hay …hameen itna peyara hay k hum apna naam hee bhool gaeey heen .wo eik shaier nay keya khoob kaha hay
itney howey ZALEEL k KHUD-DAAR ho gaeey
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
With Love:
Only that person worth your tears, who never made u cry!
(sharaarti mood)..
INN AANKHON KI MASTI KE,
DEEWAANAY HAZAARON HAIN..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
..
khatoon/janab mehndi, salam arz hay.. aap to bilkul ek damm say mehfil main koodi bila kisee dhoom dharakkay aur istaqbaal ke, ke hamm to samjhay ke ya-khuda, ye nowaarid kahan say waarid ho giya (punctuation ki mafi)
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
,
to aagra say talluq hay aapka .. khair hay, udhar ki do teen cheezain kafi mashroor hain .. ek to khud taaj mahal aur gupshup ki waja say aap ..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
bewaqoof bhai, urfiyat ke bajaaye aapka NAAM aisa hay .. to phir to log aapko door say salam karkay bhag jaatay hongay? khair aap fikar na karain ..hamm aisay logon main say nahin kyoonke hamm ko kisee bewaqoofiyatt ka darr hi nahin hay .. confusion hi itni pheli rehti hay ke banda seedha rahta hay, beqaqoofiyatt ki zaroorat hi nahin rehti ..
wo hay na kuch shair jesi cheez isee mauzoo par .. ke IQBAL TERAY ISHQ NAY SABB KASS-BALL NIKAAL DIYAY..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
to buss isee tarah samajh lain ke confused teri confusion nay sabb kass-ball nikal diyay