Hellooooooooo

Masha Allah,
Baarish ka mausam aray bhai humko kaisay pata hoga, (khair subah eik hour traffic main guzra isi moi baarish kee wajah say) I love raining lekin hate driving when its raining. Aur hum bohat achay hain Masha Allah say, aap sunaao koi naai taazi, 89.3 kaisa chal raha hai.

Kion jee achi nahin hona chahiye ta..:frowning:

Hmm 12bajehiN …aur aik hum he jinhe kaam karna pardta he..

Yehi to hum bhi keh rehe he ke shayaad ho jaheiN…kissay pata:)

Alhamdo Lillah hum khush o khurram hain, aap sunaain kaisee hain aur kia ho raha, wahan kitni dair reh gayee Iftaar main? (2 more hours right)

Haan jee zaroor …bas aik baar ghar mil jahein…abhi to dhoond rehe he…har weekend par jahtein he…aajkal to siraaf humhein apne dreams me hi ghar nazaar ata he… :bummer:

haan i know yar.. NJ main jaisay he thori see sprikles shuru hoteen hain.. or traffic ke line lag jati hai :smack2: Allah ka shukar hai mere class nahin hai aaj :smiley:

89 dot 3 chor diya hai.. yar.. college jab shuru hota hai to kuch bhi nahin karta… abhi sirf 12 hr a week job or college

Nayabooo :wave:

:wave: Allah Hafiz! Gtg.. :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Alhamdo Lillah hum khush o khurram hain, aap sunaain kaisee hain aur kia ho raha, wahan kitni dair reh gayee Iftaar main? (2 more hours right)
[/QUOTE]

That`s good

Hum bilkul theek thak he...Job par hein...Koshish kar rahe he ke jaldi chuty kar le..:) Jee sahi kaha 2 hours reh gay he

haan poor Jersians, waisay traffic ka azaab sara saal hee rehta, rain or shine koi farq nahee paRta.
Chalo achi baat hai sari concentration studies per hona chaheain, aakhir ko baRa aadmi bhi tu banna hai. :stuck_out_tongue:

Allah Haafiz G :wave:

yeah i know yo :stuck_out_tongue:

jee mujhay BARA ADMI BANNA hai :blush: :wink:

Hello Shello Shoaib jee …

aap jinhe dhoond rehe he..woh apko dhoond dhoond kar chalheiN gay..aap torde late ho gay :nahnah:

Masha Allah, achi hee rahain Insha Allah.
Aur jaldi chutti kyu :smash: hum bhi tu work per hain aap bhi baitho :stuck_out_tongue:
Aur hum hamesha sahi hee kehtay hain :slight_smile:

jee hayloo wayloo :stuck_out_tongue:

oh yar.. ap ko shayad yeh ghalat fehmi hai kay.. main un ko dhoondnay aata hoon… wo jab hoteen hai to mujhay gs kay bagair he pata chal jata hai kay if she’s online or not!!! or un ko bhi pata chal jata hai… main late nahin hoaa … abhi wahan par iftari time honay wala hai..

Don’t worry Insha Allah jald hee banjaao gay. lekin shart hai mehnat aur dil laga ker kaam kerna. kyu keh Quid nay yahi kaha hai na. :stuck_out_tongue:

hehe shukriya..:slight_smile:

Wah ye kia baat howi..shayaad hum apse jaldi ahay te kaam par aj…:nahnah:

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Don't worry Insha Allah jald hee banjaao gay. lekin shart hai mehnat aur dil laga ker kaam kerna. kyu keh Quid nay yahi kaha hai na. :p
[/QUOTE]

inshallah :-) jee quid nay shayad yahi kaha thaa.. :p

hmm very smart…wese humhein nahin pata ta ke aap itne smart ho gay..:nahnah:

jee haan apne bilkul sehi kaha waha iftari time he…woh keh kar gay thi ke iftari ke liye jana he unhein..:slight_smile:

Khair aur sunahein…tabhiyat kesi he apki? Sab theek thak? RozeiN kese ja rehe he? ghar par he kia?

haan jaldi aain shukriya lekin jana tu saath chaheay na, aur abhi pooray 8 ghantay baqi hain Iftaar main.

Ok friends …Me ab ghar ja rehi ho..aj jaldi chutii kar li…ya ya ya i know aap sab yehi soch rehe ho gay ke Nayab kaam hi kab karti he..jo ab ussay jaldi chutii bhi chahiye..lekin eshi baat nahin …ok:smash:

waqt milha to inshallah ghar ja kar koshish karho gi Gupshup par anheiN ki..

Khuda hafiz and take care:wave:

Wah ye kia baat huwi..yani hum jaldi ahe aur deer tak office me kaam karteiN rehe…hmm thats not good..:bummer: