Re: HE is hot?
well if he is disagree then phir mai kia bol sakta ho , kyun kay woh appni sooch rakh kar dekh rahay hai is duniya ko or mai appni sooch kay sath chal raha ho , kese ko jana or jaan-pahchan barhana dono mai boohat difference hota hai , app kese ko janay kay leyah yah tu zarori nahi kay us say doosti karay , us kay sath hansi mazak karay , phone par baat karay , future planing karay or phir jab aik doosaray ko pasand karna shoro ho jaie phir yah tu shadi kar lay yah phir mana kar day ![]()
u know mara aik doost hai , us ke age 15 thi tu us ko aik larki say pyar howa or woh larki aik saal choti thi us say . . . . . abb un ke EID par shadi hoie hai . . . . boohat khoosh tha woh dono kay humhara pyar mil geyah or hum aik ho gaie . . . . . magar kuch din pahlay mela tu hum dono bethay baat kar rahay tha kay achanak mari shadi ke baat karnay laga tu manay bola kay yaar har koie tu tumhari tarha Lucky nahi hota nah . . . tu woh foran bola yaar rohail sach poocho tu manay pyar kar kay galte ke . . . boohat galat kara kay manay pyar pahlay kara or phir shadi ke . . . . manay jo shadi ka soocha tha woh sab kuch nahi howa , manay poocha kyun kia woh tumhari baat nahi manti . . . woh bolnay laga yaar woh mujh say pyar bhi karti hai or sab kuch sumhajti hai mujh ko magar phir bhi jo humnay shadi say pahlay waqat goozara woh galat tha , kyun kay humnay boohat kuch future plan karay boohat c baatay humnay aik doosaray say kari or kafi enjoy sath kara , or jab shadi ho gaie tu koie khooshi nahi hoie jesay logo ko hoti hai shadi kay bad kyun kay woh he chera woh he baatay woh he andaz kuch NEW nahi sab kuch poorana , woh he zindage jo mai jeeta ayah tha woh he zindage abb bhi sath he chal rahe hai , shadi kay bad insan ke zindage NEW shoro hoti hai sab kuch NEW hota hai sab din NEW hotay hai magar yaha zindage kuch nahi bus woh he poorani jasi chal rahe hai . . . . . . . so meray bhai pyar nahi karna shadi say pahlay agar pyar karna tu kuch share nah karna us say . . .
mujh ko is ke baat kafi sumhaj aie or us ke baato mai boohat baatay choopi hoie thi . . . . . . khair in baato ko app bhi sumjho , mai yah nahi bol raha kay app kay woh doost galat hai magar phir bhi . . . . . khair app ke zindage hai app bahter sumhajti ho ge is baat ko . . . .
magar meray leyah pyar shadi ka doosara naam hai a, aik NEW zindage ke starting , aik khoobsorat dino ke baharay . . . ![]()
hmmmmmm yaar neend aarahe hai nah abb zeeyada nahi liekh sakta ![]()