HE is hot?

Re: HE is hot?

maray kheyal mai zindage aik imtahan hai , jis mai kab kia ho kis nay jana , kis mor par kis say molaqat ho jaie yah kis waqat kuch achay pal zindage mai aajaie yah boray waqat ankho ko num kar day , so bus zindage ka naam hai chaltay jana . . . . . or meray kheyal mai is zindage kay safar mai jo humhara humsafar banta hai woh hum yah humhari family select nahi karti balkay yah tu KHUDA nay asman par he couple bana kar duniya mai bheeja hota hai , bus hum insano par milna chor deta hai , so sach manay tu bus is sooch kay sath agay chalay kay koie khud he aie ga app ke zindage mai or INSHALLAH app ke zindage mai sab haseen lamhay bhar day ga , yah humhari sooch hoti hai kay pata nahi kesa ho ga , kia karta ho ga or kab melay ga . . . . . . magar dar-haqeqat tu yah hai jesa bhi hai woh app ko khud he mil jaie ga , or jaha par dil say dil milnay ke bad hai tu mujh ko MOHABAT par yaqeen hai kyun kay mujh ko appni maa (mom) say mohabat hai pyar hai or respect hai un kay leyah tu mai is sach ko jhootla nahi sakta kay MOHABAT nahi hai , bus mohabat kay andaz badal jatay hai rishto mai magar Mohabat aik he hoti hai jis mai pyar , appna-pan or respect hoti hai , jis din app ko yah sab cheezay kese insan mai mil jaie tu us ko janay nahi dena :) sumjhi . . . . . mari in baato mai kuch baatay asay choopi hoie hai jo app sumjhay tu yakeen karay app ke agay anay walee zindage boohat haseen gozray ge :)

chalta ho ba byz . appna kheyal rakhna or mari DUA hai app kay sath . ALLAH HAFIZ .