Hasrat - by Wakas Mir
Mausam ye chahaton ka, kahin yuhin badal na jaye
Khwahishon ka apni, kahin yuhin badal na jaye
Hasrat hei apni tham lein, iss waqt ke hath ko
Dar hei chudha ke daman, kahin yuhin guzar na jaye
Dil me hei dar ik bat ka, Khudaara ye sach na ho
Chaha jo humne chehra, kahin yuhin badal na jaye
Socha tha humne waqt kee aandhi se hum ladein ge
Rukh waqt kee hawa ka, kahin yuhin badal na jaye
Uljhi hei zindagi ye, saye mei unki yadon ke
Khwahish hei mir ab ye, kahin yuhin sawar na jaye
thebabesandhunks.com