Harf of the week .. Alif


aay raat k andh-yaaray ...mein jagay howay lamho!
Dhoondhoo ossay wo khawab-e Preshaan ki tarah tha

Asmaa k taare aksar puchte he-kya tujhe aaj b intzar he uske laut aane ka. Aur ye dil muskura k kehta hai,"mujhe to ab tak yakin na hua uske chale jane ka

:konfused:

aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa rang karuun Khuun-e-jigar hone tak

:hinna:

Re: Harf of the week .. Alif

oss shuokh say bichhar k zafar apni zindagi....

jesay makaan huu koi,deewaar k baghaer.......

Un Sey BiChar Key hUm kO Tamana hAi mOut Kii
Aatii Nahien hAi mOut Bhi Lekin Jiye BaGhair
Aey Zabt e Gham Aur Na Ley Imtehaan e Gham
hUm rOu Rahey hAin Naam Kisi Ka Liye BaGhair

Re: Harf of the week .. Alif

andhi hawaa kahaan say oraa laai kiyaa khabar

jaany ye zindagi hay waraq kis kitaab kaa.......?


iK Yahi rOshanii Baaqi hAi Meri dUniya Mein
**Main Teri Yaad Ki Qandeel bUjhaaOn Kaisey **
??

Re: Harf of the week .. Alif

aankh say door na huu dil say otar jaaygaa


waqt ka kiyaa hay guzartaa hay guzar jayga

Ajnabi raahoN par chaltey chaltey kuch yaad aayaa
Kitney apney they jo baad meiN anjaaney nikley
in ko raakh kiya aur phir naz'r-e-aab Anwaar
Seh'r huwi tou wuhi auraaQ sarhaaney nikley

Re: Harf of the week .. Alif

Aakhir Huay Na Hazrat-e-Dil Aap Waan Zaleel
Haan Aur Daur Daur Ke Mehmaan Jaeay

Re: Harf of the week .. Alif

Urtay Urtay Aas Ka Panchhi Duur Ufaq Main Doob Gaya
Rotay Rotay Beth Gai Aawaz Kisi Saudai Ki

Re: Harf of the week .. Alif

Anaa Parast Hai Itna Ke Baat Se Pehlay
Wo Uth Ke Band Meri Her Kitaab Ker De Ga

Re: Harf of the week .. Alif

Iss Qadar Musalsal Theen Shiddatain Judai Ki
Aaj Mainay Pehli Baar, Uss Se Bewafai Ki

Re: Harf of the week .. Alif

ay duost hamny tark-e-taalluq k baawjood

mehsoos ki hay teri zaroorat kabhi kabhi

*** Abhi Tak Be-Kafan Sii hAi Meri Wehshat Ki Uryaanii***
Yeh Kis Umeed Par Ghar kO ByaBaaN Kar Liya Main Ney

Re: Harf of the week .. Alif

Abhi Abhi Wo Gaye Hain Magar Ye Aalam Hai
Buhat Dinon Se Wo Jese Nazar Nahin Aaye

Re: Harf of the week .. Alif

aaj buhut din bad suni hay baarish ki aawaaz
aaj buhut din bad kissi manzar nay rasta ruka hay
rim jhim ka malboos pehn kar yaad kissi ki aai hay
aaj buhut din bad achanak aankh yonhi bhar aai hay


Alfaaz Key MaQtal Mein Khara Soch Raha hOn
AansOo Bhi Na Chin Jaaye Kahien Deeda e Tar Sey

Aaj rUkhsat hUa jAta hOn Bas Itna Keh Kay
Main Gaya WaQt hOn Kay Phir Aa Bhi Na SakOn

Re: Harf of the week .. Alif

Ay Baad-e-Saba Kuch Tunay Suna Mehmaan Jo Aanay Walay Hain
Kalyaan Na Bichhana Raho'n Main, Hum Palkain Bichhanay Walay Hain