Harf of the week .. Alif

Re: Harf of the week .. Alif

*Osse parh ke tom nah samjh sakay ke mere kitaab ke roop mein
Koi qarz tha kai saal ka kai ratjagon ka udhar tha
*

*** Anna Sey Jeet Kar Us kO Agar Main Ney jO khOya hAi***
*** Mera nOha Nahii Likhna Meray NaGhma Nahii Likhna***


Nice sharis every1 :k:

ab kay woh dard day kay mai rooao tamam umar ab kay laga woh zakhm kay jeena mohal ho


apna ye haal kay jee haar chukay lut bhi chukay
aur mohabat wohi andaaz puranay mangay

**aik baar kar kai aitbaar likh do
kitna hai mujhsay pyar likh do

kaatti nahin ab yeh zindagi tairay bin
kitna karon aur intezar yeh likh do

taras rahay hain bari mudat say
iss baar apni mohabbat ka izhar likh do

ek baar likho mohabbat mujhe tumsay hai
phir yahi jumla baar baar likh do**

Re: Harf of the week .. Alif

andheri raat hay, sayaa tu hu nhin saktaa


ye kon hay ju mery saath saath chaltaa hay


tark,e taalluqaat ko ik lamha chaahiye....


lekin, tamaam omr mujhy suchnaa paraa


Inhi pathroo'n par chal kar askoo to aoo
meray ghar kay rastay mai koi kehkishaa'n nai hai

Ab Is Sey baRh Key Bhi Kuch Aur Be Kassii hOgii
ILAAHI Ab tO Mera Dil dUa Bhi bhOol Gaya

Re: Harf of the week .. Alif

ossay kehnaa k palkon pr na taanky khuaab ki jhaalar

samandar k kinaary ghar banaakar kuchh nahin miltaa


aaj us nay dukhh bhi apnay alehda kar liye
aaj maiN roya to meray sath wo roya na tha

Us Pey Khul jAtii Meray ShOuq Kii Shidat Saari
Dekhay hOtey jO Meray PaaOn Key Chaley Us Ney
Aik Mera Haath Hi Na Thama Us Ney Warna
GiRtey hOye Kitney Hii lOg Sambhaley Us Ney

Re: Harf of the week .. Alif

ojaar day mery dilki duniya , sukoon mery tabaah karday...,,

magar meri iltejaa hay tujh say,idhar bhi apni nigaah kar day

Is Dasht e Be-Waffa Mein Jaaien KahaaN Keh hUm
**hAin Apney Aap Sey kOii Waada Kiye hOye **

Re: Harf of the week .. Alif

ab bajuz tark-e-wafaa koi khayaal nhin aataa


ab koi heela nhin shayed dil-e-nadaan k paas

**Aur Barh Jaati hAi Jis Naam Sey Betaabii e Dil **
Dil kO Taskeen Bhi Milti hai Usii Naam Key Saath

Re: Harf of the week .. Alif

Ub Usay Roz na Sochon to Badan tootitahay mera,
Aik Umar ho gayi hy uski yad ka Nasha karty karty

Isey Parh Key tUm Na Samajh Sakey K Meri Kitaab Key rOop Mein
kOii Qarz Tha Kaii Saal Ka Kaii Rat-jagOn Ka Udhaar Tha

Re: Harf of the week .. Alif

Isi liye manga nahi usay Khuda se is liye,
Duwayein hoti hein Maghmom be-samar ho ke

Bujha bujha usay paya tu hoi kuch Taskeen,
Ke Khush to woh bi nahi hum se Bekhabar ho ke

Eik Umr Namu Kii Khwahish Mein mOusam Key Jabr Shey tO KhUla
Har KhUsbOo Aam Nahii hOtii Har PhOol Gulaab Nahii hOta

Re: Harf of the week .. Alif

aaNkhoN meiN jo khvaab haiN un ko baateN karne do
hoNToN se voh lafz kaho jo kaajal kehta hai