Re: Haqq-Mahar
Haq-e-Mehar wo maal hota hai jiske muawza me aurat per haq-e-zojeeyat haasil hota hai.. and as I told you earlier, haq mehar nikkah ke waqt muqarar kerna lazmi hai.. ye ALLAH ka hukam hai.. and ye nikkah se pehle hi de dena sunnat hai..
mehar ki raqam kitni ho, ye koi issue nahi, bas ye raqam munasib honi chahiyey, mean to say jitni istetaat ho larkay ki.. dene ko 20 khajoorein bhi muqarar ki jaa sakti hain and sone ka pahaaR bhi muqarar kiya jaa sakta hai.. but larki ko dehaan rakhna chahiyey ke larkay ki istetaat kitni hai.. wo chaahe to maaf bhi ker sakti hai..