Happy Mother's Day!

Re: Happy Mother's Day!

Maa wo hasti hay jiss kay Sirf aik din aur aik raat ka wo qarz jo unhonay jaag kar apnay kandhay par sula kar, khud nahi kha kar apnay uss bachay ko doodh pila kar guzaara... jo apnay bachay ko daikh kar khush hoti aur apnay bachay k liay roti hay... jiss kay hath sirf aur sirf apnay bachay k liay dua k liay uthtay hain... jo apnay bachay k chehray par hamesha hansi daikhna chahti hay... uss bachay k paida honay say lay kar jawaan honay tak wo maa dua aur khidmatt karti... uss aik pall ka qarz ham hazaar sijday kar kay bhi nai utaar saktay...

Bass agar apnay RABB ko razi karna hay to apni maa ki khidmat karo, un ki duain lo aur un k liay duain karo... Maa wo haseen tohfa hay Jo RABB nay hamain iss liay dia hay takay USS RABB ko hamain bakahsnay ka moqa mil sakay...

Maa ko bohat piaar karo aur un k samanay kabhi ooncha nahi bolna...

Best Regards,
dua ka talabgaar...

Ata ...