Re: Gupshup is not the same..
Dil ko jalana ham nay chor dia chor dia...
Teri gali main aana ham nay chor dia chor dia :$
kiss ki baat kartay ho miaan ? sab kuch wohi hay, bass waqt guzar gaya aik, guzarna hi tha, kab tak ruka rehta tumhaaray liay...?
kabhi tum nay palat kar daikha hi nai waqt ki taraf, wo to kafi dair tak khara raha k shayad palat kar daikh lo aik baar hi sahi...
lekin tum to apni masti main aisay mast thay k waqt ki siskiaan bhi na sun sakay
aur abb pachtaatay ho k wo waqt kaha gaya... :s
khair... yeh lo miaan suno aur mazeed ji jalao apna aur mohallay walon ka...
Hamarii saada lohii to daikho aay logoN
abb saayay ki talaash hay, jab shaam dhal gai...