Guppies you met..

VG jaisi dikhti hay waisi he hay :slight_smile: bari achi achi batain karnay wallay aur achay achay kapray pahanany walli … buhat decent see aur khoubsurat muskarahat chahray par liye baray dheemay lahjay mein batain karnay walli … buhat acha laga iss say mill kar aur lag he naheen raha tha kah hum pahlay naheen millay hain …
khas tou par jub uss nay apnay hissay ka chicken :yummy: mujhay dia tou ittni muhabat daikh kar meri aankhoon mein aanso aa gai :teary3: leekan phir mujhay ehsas howa yah to pyaaz key wajah say hay jo maiz par pray thay :cb:
Baqi mein soch kar likhta hoon Ittni diar mein VG bhi meri ta’reefin karay ..over to VG :shireen: