Re: Guest of the Week - STA
**hosh waalon ko khabar kya bekhudii kya chiiz hai
ishq kiiji’e phir samjhie zindagii kya chiiz hai
unse nazar kya milii roshan fizaaen ho gaiin
aaj jaana pyaar kii jaaduugarii kya chiiz hai
khultii zulfon ne sikhaaii mausamon ko shaayarii
jhuktii aankhon ne bataaya maikashii kya chiiz hai
ham labon se kah na paae unse haal-e-dil kabhii
aur voh samjhe nahiin yeh khaamoshii kya chiiz hai**