Re: Guest of the Week - Kinzz
may be u r right ..lakin mainy is cheez ko kisi or terah perha or samjha hay ..
kaha jata hay k 7 aalam hain
ik** Alam-e-nasoot **hay jis main hum or app yane insaan rehtay hain
ik **alam-e- roya **ha ..jis main khuaab dekhay jatay hain
**Alam-e arwaah **hay
ik alam-e- barzakh hay
ik alam-e- malakoot hay jahan malaaik yane faroshtay rehtay hain
ik alam-e- jabroot hay ..jahan khaas khudaie ahkaam hain
or sub say opper
**Alam-e-Lahoot hay ..jahan ALLAh kay siwa koi nahi …sirf Allah hay
**
hamray nabi salal Allahu alyhi waslam jo tamam anbia main afzal hain un ko Mayraaj ka saffar ata kia gaya hay /..or Rub ul izzat nay Nabi pak salal Allaho alyhi waslam ko Alim - La hoot tuk apnay pass bulaya is mayraaj main
IQBAL nay muslmano ko un ki NAbi ki is mayraaj ka saffar say nisbat daytay hoyee mukhatib kia k tum to us Nabi ki ummat ho jo Alim -e- LA hoot tak parwaz ker chukay hain
phir agay wohe tashree jo app sub nay kee …
**this is real meaning of LA hoot **