Re: Girls with too much make up… I only have one thing to say
Aap ki batain sub kafi hud tk saheen hain.
Mardon ko is liay naheen zaroorat hoti kay aurtain idhar udhar naheen jaya karteen kisi aur mard kay peechay apna shohar hotay huway jubkay mard aisa kartain hain. To wo bechari aurtain samajhteen hain kay make kar kay unko apna banaya ja sakta hai khoobsoorat lug kar. Jubkay jisko jo achchi naheen lugti so wo makeup main bhi achchi naheen lugti.
Jis ko achchi lugti hai so wo makeup main bhi achchi lugti hai.
Laikin hamaray yahan concept bilkul ghalat aa gaya hai logon main aur khaas tor par lar’kioon aur aurton main.
Make up kar kay bahar nikalna islam main mana hai phir bhi make up kar kay nikalti hain. Jub kay shohar kay liaay ghar main rah kar ijazat hai. Aur kitni pyari baat hai Islam ki kay jis ko lubhana ho uskay liay karo.
Per jinko naheen pasand unki biwion ko naheen karna chahyay.
Laikin saray ziadatar mard make up walion ko daikhtain hain aur wo unko achchi bhi lugteen hain banisbat wife kay.