Re: gaye dino ka surag- Nasir Kazmi
gaye dino ka surag lekar kidhar aaya kidhar gaya wo ajeeb manuus ajnabi thamujhe to hairaan kar gaya wo
bas ek moti si chhab dikha kar bas ik meethi si dhun suna kar sitara-e-sham ban kar aaya barang-e-khwab sehar gaya wo
khushi ki rut ho ya gham ka mausam nazar usse dhundti hae har dum woh buu-e-ghul thaa ke naghma-e-jaan mere to dil mae utar gaya wo
na ab wo yadon ka charhta dariya na fursaton ki udaas barkha yunhi zara si kasak hae dil mei, jo zakhm gehra tha bhar gaya wo
kuch ab sambhalne lagi hae jaan bhi, badal chala daur-e-asmaan bhi jo raat bhaari thi tall gayee hae, jo din kharra tha guzar gaya woh
shikasta_pa raah mei khara hun, gaye dino ko bul raha hun jo qafila mera humsafar tha misal-e-gard-e-safar gaya wo
mera to khuun ho gaya hae paani sitamgaron ki palak na bheegi jo naala utha raat dil se na jane kyun be-asar gaya wo
woh hijr ki raat ka sitara woh humnafas humsukhan hamara sadaa rahe uska naam pyara suna hae kal raat mar gaya wo
woh jis ke shanay pe haath rakh kar safar kiya tune manzilon ka teri gali se na jaane kyun aaj sar jhukaye guzar gaya woh
wo rat ka be-nawa musafir woh tera shayar wo tera 'Nasir' teri gali tak toh humne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo
Hmmm...ab is meiN sey kya nikaaleiN aur kya rakheiN. Bohat shaandaar ghazal hey Jhanjharewali ji. Hamaarey saath share karne ke leeye shukriya :~)