Re: Freezer main rakhi shaam
hmmm…kia shahr-e-KhomaashaaN kii reet o ravaaj shahr e sor o sharaaba se mutazaad hai? yahan to din bhayaanak aur raat Khushgawaar hotii hai. ![]()
ab aise bhii vasl ke ham qaa’il nahiiN k banda mil ke bhii kah uTThe k:**
ham mil ke bhii tum se kabhi mil nahiiN paaye
do jism mile beshak, do jaan bhii na mil paaye**
hayeN? yeh to fil badeeh she’r ho gayaa! lol