be panah chahne ka yeh sila hota hai kabhi socha na tha
itna apna pan jataane ke baad bhi woh apna na tha
tumhe kisi aur ki baahon mein dekh kar kanp uthi rooh
afsoos to yeh hai ke woh meri aankho ka dhoka na tha
woh konsi kami meri mohabbat mein thi uska mujhe pata na tha
mujhe yu be sahara chorne ka tujhe koi afsoos na tha
pyaar ki hadh se zyada chaha tha tujhe be khabar
yu kisi aur ki raahon mein jaane ka tujhe koi haq na tha
teri yaadon ko dil se nikaalne ka mujhe koi gila na tha
fir bhi tere khayalon mein mubtala rahi is mein mera kasoor na tha
ye tanhaii bhi meri halat dekh kar hansti hai
tu meri saanso se zyada kareeb reh kar bhi mera na tha
teri be wafaaii ke moor se guzar ka jeena chaha na tha
mere pyaar ka naam kabhi yu badnaam na tha
meri ye haalat dekh kar kuch to rahem kar aaye zaalim
kya mujhe chont pohuncha ke tera dil bhara na tha???