For married women

Re: For married women

**


**

yahan tak k husband us ko aisay kamoon ka hukam keray jo Shreyat main jaaiz nahi yanee us main Allah ki naafermaani ho rahee ho to ab is main husband ki fermabardaree nahi

**
[quote]
If husband asked her to do something against the order of Allah Rasool and Quraan?
Agar woh parda trak kerny ko kahy tu?
Apna nahi os alima ka jwab batana
Farmanbardari ka matlab kiya hy on ki nazar main?
[/quote]
**

jo main opper jawab daiya unhee ka jawab hay : )

**
[quote]
Kia larki apna dimagh istymal na kery totaly pralized at that point where her thinking and decision making skills are?
[/quote]
**

lerkee apna dimagh istimaal keray or deene taleem seekhay samjhay k us kay haqooq kia hain ... kam say kam itna ilm to haasil keray jo Farz-e-Aain hay

[quote]

I . Even Quraan main her bat ka zikar hy we are afraid to talk about those issues

[/quote]

quran main her baat ka zikker nahi hay my dear sister

chalain zara itna hee bata dain hum naamaz main jo Rakkat ki tadaad ada kertay hain
quraan main kahan hay ?

quran ik mattan hay or hadees us ki tashreeh hay ...

sorah hashar main Allah tala fermatay hain

jo tum ko rasool dain ussay lay lo or jis baat say mana kerain us say ruk jaao

phir kis terah log Ahaadees per aytmaad nahi kertay ?

jo hadees ko nahi maanta derasal woh Quraan ko bhi nahi maanta

*sora Qammar main hay *

nabi apnay nafs say koi baat nahi kertay woh wohe kehtay hain jo un per wahee kee jatee hay

jo Hadees,ijjma say inkaar keray un ki misaal Bani Israail kee see hay jis k baray main

Sora baqra main Allah nay fermaya

kia tum kiaab kay baaz hissay per imaan latay ho or baaz hissay say inkaar kertay ho ?

ps > chalain agar mere zindgee rahee or waqt raha to ik thread mardooN kay haqooq per bhi khol dain gay : D

ps> ik muslmaan hotay hoye mera to yaqeen hay jub hum Allah ki fermabardree kertay hain ..To Allah duniya ko hamaaray ley muskh'ar ker dayta hay