Re: First Lever transplant in Pakistan
**baRii Khushii kii baat hai…ab jigarii paiwand kaarii [Liver Transplant] Pakistan meN ho sakegii aur kisii ko be-roon-e-mulk jaane kii zaroorat na hogii, iA.
merii ek rishtedaar haiN Karachii meN…aaj se koii do baras qabl unheN jigarii paiwand-kaarii karvaanii thii to unheN Delhi jaanaa paRaa thaa…GS par maiN ne is baat kii nishaan-dehii kii to yahaN log mujh pe baras paRe k maiN Ghalat kah rahaa huN aur yeh operation Pakistan men available hai…agar aisaa hotaa to merii rishtedaar ko Delhi kiuN jaanaa paRtaa?
chalen ab sabko sahoolat mohaiyaa ho jaayegii, iA
yeh ek Khush aayind baat hai :)**