Jo bicha sakoN tere waastay
Jo saja sakien mere raastay
Meri dastaras mein saray dukh
Merii muthiyoN mein gulaab de
Kabhi youn ho tere ru-baruu
Mae nazaR mila ke ye keh sakoN
Meri hasratoN ko shumaar ker
Merii khwahisho`N ka hisaab de
Not fair this is what i was going to post next…simply superb…anyway
raaton men gar na ashk bahaaun to kya karun
ik pal bhii us ko bhuul na paaun to kya karun
tumhiin kaho ki chhor de jab zindagii bhii saath
phir maut ko gale na lagaun to kyaa karun
kuchh aise ghaao bhii hote hain
jinhen zaKhmii aap nahin dhote
bin roye huye aansuoo kii tarah
seenay men chhupa ke rakhate hain
aur saarii umr nahin rote
Neem shab ki khamshi main bheegati sarkoon pay kal
us ki yaadoon k jaloo main ghoomna achha laga
us adooay jaan ko "Amjad " main bura kaisay kahon
Jub bhi aaya samnay wo bewafa acha laga