FAIZ AHMED FAIZ

Re: FAIZ AHMED FAIZ


YAAD

**Dasht-e-tanhaii men ai jaan-e-jahaan larzaan hain **
Teri aawaaz ke saaye tere hontho.n ke saraab

**Dasht-e-tanhaii men duuri ke Khas-o-Khaak tale **
Khil rahe hain tere pahluu ke saman aur gulaab

**Uth rahi hai kahiin qurbat se teri saans ki aanch **
Apni Khushbu men sulagti huii maddham maddham

Duur ufaq par chamakti huii qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

**Us qadar pyaar se ay Jaan-e Jahaan rakkha ha****i **
Dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne haath

**Yuun gumaan hota hai garche hai abhi subah-e-firaaq **
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gaii vasl ki raat

“Shukran jaziiran” for the warm welcome @GS.
yup, another pathani in da house, princess Fiona.
Khoob gurey-gi jab mil-baetheingey diwaney do :smiley: