tunay dekha hai kabhii ek nazar shaam kay baad
kitane chup-chaap se lagate hai.n shajar shaam ke baad
itane chup-chaap ke raaste bhii rahe.nge laa-ilm
chhoor jaayengay kissi roz nagar shaam kay baad
main nay aisay hi gunaah terii judaaye mai kiye
jaise tuufaan main koi chor de ghar shaam kay baad
shaam se pahalay vo mast apanii uranoo'n main rahaa
jis ke haatho.n mai the Tutay huay par shaam ke baad
raat biitii to ginay aablay aur phir sochaa
kaun thaa baais-e-aaGaaz-e-safar shaam kay baad
tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaa.N raat kaa dukh
tuu kisi roz mere ghar mai utar shaam ke baad
laut aaye na kisi roz woh aavaaraa majaaz
khol rakhate hain isii aas pe dar shaam ke baad