Mera Dard Naghma-e-Be'sada
Meri Zaat Zarra-e-Be'nishaa'n
Meray Dard Ko Jo Zubaa'n Milay
Mujhe Apna Naam-o-Nishaa'n Milay
Meri Zaat Ko Jo Nishaa'n Milay
Mujhe Raaz-e-Nazm-e-Jahaa'n Milay
Jo Mujhe Ye Raaz-e-Nihaa'n Milay
Meri Khaam'shi Ko Bayaa'n Milay
Mujhe Kainaat Ki Sarwari
Mujhe Daulat-e-Do-Jahaa'n Milay
(Faiz Ahmed Faiz)