End of a drama you liked / disliked most?

Re: End of a drama you liked / disliked most?

well mujhay humsafar ki ending is liye achi lagi, kyun k genuine thi… aur kaala jadu ki sahi thi kyun k waseem abbas character ka anjaam aisa he hona chahiye tha. Rahi mera saaein 2 ki baat to shuker hai they didnt kill him, as her baar hero nahi jeet ta :snooty:

aur mujhay yahan pyar nahi hai ki ending bht OTT lagi as i dont think aaj kul ki lerkiyaan aik lerkay kay peechay aur haqeeqat ka saamnay kernay per pagal type ki ho jati hai (no offense to anyone :nahi:) aur dil e muztar ki ending b bht he fazool thi, as is type ka admi ho aur lerki sab kuch uski nature adaat jaantay huway b us kay paas wapis chali gai hai so iska matlab hai lerki ko kisi psychiatric ki fori zaroorat hai