Re: End of a drama you liked / disliked most?
abhi kuch din lagain gay
** dil aisay shaher kay paamal ko janay ka manzar bhoolnay main
** abhi kuch din lagain gay*
** jahan rang kay saray khus-o-khasaak, sub saroo-o-sanobarbhoolnay main**
** abhi kuch din lagain gay**
** thakay haaray hoye khuabo kay sahil par kahin umeed ka chota sa ek ghar bantay bantay rah gaya hai**
** woh ek ghar bhoolnay main abhi kuch din lagain gay**
** magar ab din hi kitnay rah gaye hain**
** bus ek din dil ki loh-e-mehfooz par achanak raat utray gi**
** meri baynoor aankhon kay khazanay main chuppay har khuab ki takmeel kar day gi**
** mujhay bhi khuab main tabdeel kar day gi**
** aik aisa khuab jis ka dekhna mumkin nahin tha**
** aik aisa khuab jis kay daman-e-sad chaak main koi mubarak,koi roshan din nahin tha**
** abhi kuch din laga*****
it made me cry especially when Khalida riyasat was struggling with her child custody and they played it in the background ![]()